April 10, 2005

Mirza Ghalib

Ibteda


Home | Jagjit Singh Biography | Ghazal Lyrics


      haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
      kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur 

      Balli maarhah ke mahalle ki wo pechida daleeloN ki see wo galiYan
      saamne Taal ke nuKkad pe baTeroN ke posheede
      guD-guDaati hui paaN pi peekoN meiN wo daad wo waH-waH
      chand darwaaze par laTke huye boshida se kuch TaaT ke parde
      ek baKri ke mamiyaane ki awaaZ
      aur dhoondhlaayi huyi shaam ke be-noor andhere
      aise deewaroN se mooH joD kar chalte haiN yahaN
      chuDi-waala unke katri ke badi bee jaise
      apNi boojHti hui aaNkhoN se darwaaze TaTole
      aisee be-noor andheri see gali qaasim se
      ek quran-e-sukhan ka safa khulta hai
      asad allah Khan 'GHalib' ka patha milta hai.


1.    har ek baat pe kehte ho tum ke  'too kya hai' ?
        tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai  ?

      ragoN meiN  dauDte firne  ke ham naheeN qaayal
        jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?

      chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
        hamaaree  jeb ko ab  haajat-e-rafoo  kya hai ?

      jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
        kuredate  ho jo ab  raakh,  justjoo kya  hai ?

      rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
        to kis ummeed pe  kahiye ke aarzoo  kya hai ?



2.
      aah  ko chaahiye  ik 'umr  asar hone  tak
        kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?

      aashiqee  sabr  talab   aur  tamanna   betaab
        dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?

      ham ne  maana  ke taGHaful na karoge, lekin
        KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak

      GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz
        shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak



3.    ishq mujhko  naheeN, wehshat hee sahee
        meree wehshat, teree shohrat hee sahee

      ham bhee dushman to naheeN haiN apne
        GHair ko tujh se mohabbat  hee sahee

      ham  koee tarq-e-wafa  karte haiN
        na sahee ishq, museebat hee sahee



4.    qaasid ke aate aate khat ik aur likh rakhooN
        main jaanta hooN jo wo liKhenge jawaab meiN

      kab se hooN kya bataaooN jahaan mein kharaab meiN
        jab haaye hizr ko bhi rakhoo gar hisaab meiN

      muJh tak kab unki bazm meiN aata thaa dauR-e-jaam
        saaqi neiN kuch mila na diya ho sharaab meiN

      taaqir na intezaar meiN neeNd aaye umr bhar
        aaNe ka 'ehed kar gaYe aaYe jo khwaaB meiN

     'GHalib' chuTi sharaab par ab bhi kabHi kabHi
        peeta hooN roj-e-abro shab-e-maahtaab meiN
 


5.    hazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
        bohot  nikle  mere  armaaN  lekin  fir  bhee  kam  nikle

      nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
        bohot  be_aabru hokar tere  kooche  se  ham nikle

      mohabbat meiN naheeN  hai farq jeene aur  marne kaa
        usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle

      KHuda  ke  waaste  parda  na  kaabe  se  uThaa zaalim
        kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle

      kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz
        par itana  jaante haiN  kal wo jaata tha ke ham  nikle




6.    dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?
        royeNge  ham   hazaar  baar,  koee  hameiN  sataaye  kyoN ?

      dair naheeN, haram naheeN,  dar naheeN, aastaaN naheeN
        baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ?

      haaN  wo  naheeN  KHuda_parast,  jaao  wo be_wafa sahee
        jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ?

      'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?
        roiye   zaar-zaar  kya,   keejiye   haay-haay  kyoN ?



7.    woh  firaaq aur  woh wisaal  kahaaN ?
        woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ?

      thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
        ab woh  raanaai-e-KHayaal  kahaaN ?

      'eisa   aasaaN   naheeN   lahoo   rona
        dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ?

      fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
        maiN   kahaaN  aur  ye  wabaal  kahaaN ?



8.    tere  waade par jiye ham  to ye jaan jhooT jaanaa
        ke  KHushee se  mar na jaate  agar 'eitabaar hota

      ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
        agar  aur  jeete  rehte   yahee   intezaar  hota

      ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
        koee  chaarasaaz  hota,   koee  GHamgusaar  hota

      kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
        mujhe   kya   bura   tha   marna ?  agar  ek   baar  hota



9.    baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
        hota hai shab-o-roz  tamaasha  mere aage

      hota hai nihaaN  gard  meiN sehara mere hote
        ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

      mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
        too  dekh  ke  kya  rang  tera  mere  aage

      imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe  kufr
        ka'aba   mere  peeche  hai  kaleesa  mere  aage

      go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
        rehne   do   abhee  saaGHar-o-meena   mere   aage



10.   kisee  ko  de ke dil  koee  nawaa_sanj-e-fuGHaaN   kyoN   ho ?
        na ho jab dil hee seene meiN to fir muNh meiN zubaaN kyoN ho ?

      wafa kaisee ? kahaaN ka ishq ? jab sar phoDna THehra
        to fir 'ei sang_dil tera hee sang-e-aastaaN kyoN  ho ?

      yahee  hai aazmaana to sataana kis  ko kehte haiN ?
        `adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaaN kyoN ho ?

      qafas meiN mujh se roodaad-e-chaman kehte na Dar hamdam
        giree hai jis pe kal bijlee woh mera  aashiyaaN kyoN ho ?




11.   ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
        agar  aur  jeete  rehte   yahee   intezaar  hota

      koee mere  dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
        ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota

      kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
        mujhe   kya   bura   tha   marna ?  agar  ek   baar  hota




12.   koee din  gar  zindagaanee  aur hai
        apne jee meiN hamne THaanee aur hai

      baarha dekhee  haiN  unkee ranjishaiN
        par kuchch ab ke sar_giraanee aur hai

      deke  KHat muNh  dekhta  hai naamabar
        kuchch to paiGHaam-e-zabaanee aur hai

      ho chukeeN 'GHalib' balaayeN sab tamaam
        ek    marg-e-naagahaanee    aur     hai



13.   dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?
        royeNge  ham   hazaar  baar,  koee  hameiN  sataaye  kyoN ?

      qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam  asl meiN dono  ek haiN
        maut se  pehle  aadmee  GHam  se  nijaat paaye kyoN ?

      'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?
        roiye   zaar-zaar  kya,   keejiye   haay-haay  kyoN ?




14.   zulmat_kade meiN mere  shab-e-GHam ka josh hai
        ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai

      daaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee
        ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai

      aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN
        'GHalib',  sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai



15.   dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
        aaKHir is dard  kee dawa kya hai

      hamko unse wafa ki hai ummeed
        jo naheeN jaante wafa kya hai

      dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
        aaKHir is dard  kee dawa kya hai

      ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
        ya ilaahee ! yeh maajra kya  hai ?

      jab ki tujh bin naheeN  koee maujood
        fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai

      jaan tum  par nisaar karta  hooN
        maiN naheeN jaanata duaa kya hai



16.   unke dekhe se jo aa jaathi hai moonH par raunaq
        wo samajhteN haiN ke beemaar ka haal achcha hai

      dekhiye paate haiN pushaaq butoN se kya faiZ
        ik barhaman ne kaha hai ke ye saal achcha hai

      humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin
        dil ko khusH rakHne ko 'GHalib' ye khayaal achcha hai



17.   sab kahan-kuch lala-o-gul mein numaayaN ho gayee
        KHaaK mein kya surateN hongi ke piNhaN ho gayee

      ranZ se khu-garZ hua insaaN to mit jaata hai ranZ
        musHkilyeN muJh par padi itnee ke aasaaN ho gayee

      yuN hi gar rota raha 'GHalib' to e-ehle jahaaN
        deKHna in bastiyoN ko tum ke weeraaN ho gayee



18.   na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
        duboya  mujhko  hone  ne,  na  hota  maiN  to  kya  hota ?

      huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
        na  hota  gar juda  tan  se to  zaanooN  par dhaRa hota

      huee muddat ke  'GHalib' mar gaya par yaad aata hai
        wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota  to kya hota ?