April 10, 2005

Memorable Ghazals of Jagjit and Chitra


Home | Jagjit Singh Biography | Ghazal Lyrics


1. baat nikalegee to phir duur talak jaayegee
log bewajaH udaasee kaa sabab poochhenge
ye bhee poochhenge ke tum itnee pareshaaN kyooN ho
oongliyaaN uTheNgee sookhe huye baaloN kee taraf
ek nazar dekheNge guzre huye saaloN kee taraf
chooDiyoN par bhee kaI taNz kiye jaayeNge
kaaNpate haathoN pe bhee fikRe kase jaayeNge

log zaalim haiN har ek baat kaa taanaa deNge
baatoN baatoN meiN meraa zikR bhee le aayenge
unakee baatoN kaa zaraa saa bhee asar mat lenaa
waRnaa chehre ke taasur se samaJh jaayeNge
chaahe kuchh bhI ho sawaalaat naa karnaa unse
mere baare meiN koI baat na karnaa unse
baat nikalegii to phir door talak jaayegee



2. sarakti jaaye haiN rukh se naqaab aahistaa-aahista
nikalta aa raha hai aaftaab aahistaa-aahista

jawaN hone lage jab wo to humse kar liya parda
hayaa yakalaKht aaee aur shabaaB aahistaa-aahista

sab-e-furkat ka jaaga hoon paristhoN ab to sone do
kabhi fursat meiN kar lena hisaab aahistaa-aahista

hamaare aur tumhaare pyaar meiN bas farq hai itna
idhar to jaldi jaldi hai udhar aahistaa-aahista

baDi bedardi se sar kaate 'ameer' aur maiN kahooN unse
huzur aahistaa aahistaa janaab aahistaa-aahista 


3. gham badhe aate haiN qaaTil kee nigahoN ki tarah
tum chupa lo muJhe ae dosth gunahoN ki tarah

apni nazroN meiN gunehgaar na hote kyoon kar
dil hi dushman hai mukhalif ke gawahoN ki tarah

har taraf zeest ki raahoN mein kaDi dhoop hai dosth
bas teri yaad ke saaye haiN panahoN ki tarah

jinki khaatir kabhi ilzaam uThaye 'faakir'
wo bhi pesh aaye hain insaaf ke shaaHoN ki tarah



4. pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO
sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO

tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya
ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO

kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se
ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO


5. dost ban-banke mile muJhko mitaane waale
maine dekhe haiN kaI rang badalane waale

tumne chup rehkar sitam aur bhee Dhaayaa mujhpar
tumse achchhe haiN mere haal pe haNsne waale

maiN to ikhalAq ke hathoN hi bikA kartaa hooN
aur hoNge tere baazAr meiN bikne waale

akhree daur pe salaam-e-dil-e-mustar le lo
phir naa lauTenge shab-e-hiJr pe ronewaale




6. dil ko gham-e-hayaat gaNwaara hai in diNo
pehle jo dard tha wahi chaara hai in diNo

ye dil zara sa dil teri yaadoN mein kho gaya
zaRRe ko aandhiYon ka sahara hai in diNo

tum aa sako to shab ko baDha dooN kuch aur bhi
apne kahe meiN subhO ka taara hai in diNo



7. apne haathoN kee lakiroN meiN basa le muJhko
main hooN tera to naseeb apna bana le muJhko

muJhse too poochne aaya hai wafa ke maani
ye teri sadaa-dili maar na Daale muJhko

khud ko maiN baaNt na daalooN kahin daaman-daaman
kar diya tune agar mere hawaale muJhko

bada fir bada hai maiN zehar bhi pee jaaooN 'qatil'
shart ye hai koi baahoN meiN sambhale muJhko



8. angDai par angDai leti hai raat judaee kee
tum kya samJho tum kya jaaNo baat meri tanhaayee kee

kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya meiN
maiNe aaNkh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee

wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par
waqt se pehle dhooB gaye taaroN ne baDi daanaee kee

uDte uDte aas ka paNchi door ufaq mein dooB gaya
rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee



9. sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN
lekin ye soNchtaa hooN ke ab tera kyaa hooN maiN

biKhraa paDa hai tere hi ghar meiN tera wajood
bekaar meHfiloN meiN tuJhe dhoonDtaa hooN maiN

naa jaane kis adaa se liya toone mera naam
duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN

le mere tajurboN se sabaK ae mere raqeeB
do chaar saal umR meiN tuJhse baDa hooN maiN




10. humko dushman kee nigahoN se na dekha keeJe
pyaar hi pyaar haiN hum humpe bharOsa keeJe

chand yaadoN ke siwa haath na kuch aayega
is tarah uMr-e-gureza ka na peecha keeJe

roshni auroN ke aaNgaN meiN gawara na sahee
kam se kam apne ghar meiN to uJaala keeJe

kya khabr kab wo chale aayenge milne ke liye
roz palkoN pe nayee shamme jalaya keeJe


11. pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO
sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO

hume to aaj ki shab pau faTe tak jaagna hoga
yahi kismat hamari hai sitroN tum to so jaaO

hume bhee neeNd aa jaayegi hum bhi so hi jaayenge
abhi kuch beqaraari hai sitaroN tum to so jaaO

tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya
ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO

kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se
ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO



12. aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai
tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai

gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai
tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai

waqt ke saath haalaat badal jaate haiN
ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai

ek muddat se jahaN kaafile gujre hi nahiN
aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai



13. socha nahiN achcha bura dekha suna kuch bhi nahiN
maanga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahiN

dekha tuJhe socha tuJhe chaaha tuJhe pooja tuJhe
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahiN

jispar hamari aaNkh ne moti bichchaaye raat bhar
bheja wohi kaagaz tuJhe humne likha kuch bhi nahiN

ek shaam ki dahleez par baithe rahe wo der taq
aankhoN se kee baateN bahot humne kaha kuch bhi nahiN



14. paseene paseene huye jaa rahe ho
ye bolo kahaN se chale aa rahe ho

hameN sabR karne ko keh to rahe ho
magar dekh lo khud hi ghabraa rahe ho

ye kiskee buri tumko nazar lag gayee hai
baharoN ke mausam meiN murJha rahe ho

ye aaina hai ye to sach hi kahega
kyoN apni haqeeqat se katraa rahe ho


15. bahut diNoN ki baat hai
fizaa ko yaad bhi nahiN
ye baat aaj kee nahiN
bahut dinoN kee baat hai

shabaab par bahaar thee
fizaa bhi khush-gawaar thee
naa jaane kyoon machal pada
maiN apne ghar se chal pada
kisi ne muJhko rok'kar
badi adaa se Tok'kar
kaha tha lauT aae'iye
meri kasam naa jaai'eye

par muJhe khaBar na thee
maahOl par nazar na thee
naa jaane kyoon machal pada
maiN apne ghar se chal pada
maiN shehaR se phir aa gaya
khayal thaa ke paa gaya
us'e jo muJhse door thee
magar meri zaroor thee

aur ik hasiN shaaM ko
maiN chal paDa salaam ko
gali ka rang dekh'kar
nayee tarang dekh'kar
muJhe badi khushi huyee
maiN kuch isi khushee meiN tha
kisi ne Jhaank'kar kaha
paraaye ghar se jaai'iye
meri kasma na aai'iye

wahi haseeN shaam hai
bahaar jiska naam hai
chala hooN ghar ko choDkar
na jaane jaaoonga kidhar
koi nahiN jo Tok'kar
koi nahiN jo Rok'kar
kahe ke laut aai'iye
meri kasam na jaai'iye 

meri kasam naa jaai'iye ......