April 10, 2005

Main Aur Meri Tanhaayee


Home | Jagjit Singh Biography | Ghazal Lyrics


1.   ye daulat bhi le lo, ye shoHrat bhi le lo
     bhale cheen lo muJhse meri jawaani
     magar muJhko lauta do bachchpan ka saawan
     wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani

     mohalle ki sabse nishaani purani
     wo buDhiya jise bachche kehte the naani
     wo naani kee baatoN mein pariYoN ka DeRa
     wo chehre ke JhuriYoN meiN sadiYoN ka phera
     bhulaaYe nahiN bhool saqta hai koi
     wo choti see raateN wo lambi kahaaNi

     kaDi dhooP meiN apne ghar se nikalna
     wo chiDiya wo bulbul wo thithli pakaDna
     wo guDiya ki shaadi pe laDna jHagaDna
     wo JhooloN se girna, wo giR ke sambhalNa
     wo pithal ke challoN ke pyaare se tho'fe
     wo TuTi hui chudiYoN ki nishaani

     kabhi re't ke ooNche Tilon pe jaana
     gharOnde banana, banaake miTaana
     wo maasoom chaahat ki tasveer apni
     wo khwaboN khiloNo ki taabir jaageer apni
     na duniYa ka gham tha na rishtoN ke bandhan
     baDi khoobsoorat thi wo zindgaani


2.   shaYad maiN zindagi ki sahar le ke aa gaya
     qaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya

     taa umR DhoonDta raha manzil maiN ishq ki
     anjaam Ye ke garde safar le ke aa gaya
   
     nashtar hai mere haath meiN kaaNdhoN pe maikada
     lo maiN ilaaJe dard-e-zigar le ke aa gaya

     'Faakir' sanam maikade meiN na aata maiN lautkar
     ik zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya



3.   zindagi tuJhko jiya hai koi afsOs nahiN
     zehar khud maiNe piya hai koi afsOs nahiN

     maiNe muJrim ko bhi muJrim na kaha duniYa meiN
     bas yahi zurm kiya hai koi afsOs nahiN

     meri kismat meiN jo likkhe the unHi kaanToN se
     dil ke zakhmoN ko seeya hai koi afsOs nahiN

     ab gire sanG ke sishoN ki hoon baarisH 'faakir'
     ab kaFan ODh liya hai koi afsOs nahiN
 

4.   us's mod se shuru kareN phir Ye zindagi
     har shay jahaN haseen thee, hum tum the ajnabi

     lekar chale the hum jiNhe jannat ke khwaab the
     phooloN ke khwaab the wo mohabbat ke khwaab the
     lekin kahan hai unmeiN wo pehle see dilkashi

     rehte the hum haseeN khaYaaloN ki bheeD meiN
     ulJhe huye haiN aaj sawaaloN ki bheeD meiN
     aane lagi hai yaad wo fursat ki har ghaDi
  
     shaayad ye waqt humse koi chaal chal gaya
     rishta wafa ka aur hi rangoN meiN dhal gaya
     ashkoN ki chandini se thee behtar wo dhooP hi



5.   jis mod par kiye the hum intejaaR barsoN
     us'se lipaT ke roye, deewana-waar barsoN

     tum gulsitaN se aaYe zikRe khizaaN hilaaye
     humNe kafas meiN dekhi fasle bahaar barsoN

     hoti rahee hai yuN to barsaat aasuOn kee
     uTh'Te rahe hain phir bhi dil se gubaaR barsoN

     wo sang-e-dil tha koi begaana-e-wafa tha
     karte raheN hai jiska hum intezaar barsoN



6.   charaaG aaftaaB gum, baDi haseen raat thee
     shabaaB ki naqaaB gum, baDi haseen raat thee
   
     muJhe pila rahe the wo ke khud hi shamma buJh gayee
     gilaas gum, sharaab gum, baDi haseen raat thee

     likHa tha jis kitaab meiN ke ishq to haraam hai
     huyee wohi kitaab gum, baDi haseen raat thee

     laboN se laB jo mil gaye, laboN se laB hi sil gaye
     sawaal gum, jawaab gum, baDi haseen raat thee



7.   dil ke deewaroN dar pe kya dekha
     bas tera naam hi likha dekha

     teri aankhoN meiN humne kya dekha
     kabhi qaatil kabhi khuda dekha

     apnee soorat lagi paryee si
     jab kabhi humne aa'inah dekha

     haaye andaaz tere ruKne ka
     waqt ko bhi ruKa ruKa dekha

     tere jaane meiN aur aane meiN
     humne sadiyoN ka faasila dekha

     phir na aaya khayaal zannat ka
     jab tere ghar ka raasta dekha



8.   Dhal gaya aaftaaB ae saaqi
     la pila de sharaab ae saaqi

     ya suraahi laga mere mooh se
     ya ulaT de naqaab ae saaqi

     maikada choD kar kahaN jaaooN
     hai zamana kharaaB ae saaqi

     jaam bhaR de gunaahgaarOn ke
     ye bhi hai ik sawaab ae saaqi

     aaj peene de aur peene de
     kal karenge hisaab ae saaqi