April 10, 2005
Echoes
Home |
Jagjit
Singh Biography |
Ghazal
Lyrics
1. huzoor aapka bhi ahtraam karta chaloon idhar say guzra tha soncha salaam karta chaloon nikha-o-dil ki yahi aakhri tamanna hai tumhari zulf kay saayey mein shaam karta chaloon unhay yeh zid ki mujhay dekh kar kisi ko na dekh mera yeh shauk ke sabsay qalaam karta chaloon yeh mere khaboN ki duniya nahin sahi lekin ab aa gaya hooN to do din qyaam karta chaloon
2. safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo sabhi haiN bheeD meiN tum bhee nikal sako to chalo kisi ke waaste raaheN kahan badalti hai tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo yahan kisi ko koi raasta nahin deta muJhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo yahi hai zindagi kuch khwaab chand ummeedeN inhi khilonoN se tum bhee bahal sako to chalo
3. shola ho bhaDakne ki guzaarish nahin karta sach muuh se nikal jaata hai koshish nahin karta girti huyee diwaar ka humdard hooN lekin chaDhte huye sooraj ki parasthish nahin karta maathe ke paseene ki mahak aaye na jaisi wo khoon mere jisM meiN gardish nahin karta humdard ye ehbaab se darta hoon 'Muzaffar' main zakhm to rakhta hoon numaish nahin karta
4. aap ko bhool jaayeN hum itnin to bewafa nahin aapse kya gila kareN aapese koi gila nahin sisha-e-dil ko toDna unka to ek khel hai humse hi bhool ho gayee unko koi khata nahin kaash wo apne gham muJhe de deN to kuch sukooN mile wo kitna bad-naseeb hain gam hee jise mila nahin juRm hai gar wafa to kya, kyoon kar wafa ko choD doon kehte haiN is gunaaH kee hoti koi saJa nahiN
5. mai chahta bhi yehi tha, wo bewafaa nikle use samaJhne ka koi to silsila nikle kitaab-e-maazi ke panne ulaT ke dekh zara na jaane kaun sa panna muDa hua nikle jo dekhne meiN bahut hee karib lagtaa hai usi ke baare meiN socho to faasila nikle
6. BoliyaN (Punjabi)
7. mai khayal hu kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai
8. aisa lagta hai zindagi tum ho ajnabee kaise ajnabee tum ho ab koi aarzoo nahin baakee justjoo meri aakhri tum ho main zameen par ghana andhera hoon aasmaanoN ki chandni tum ho dostoN se wafa ki ummeedeN kis zamaane ke aadmi tum ho
9. maana ke musht-e-khak se badh kar nahin hoon maiN lekin hawa ke rehmo-karam par nahiN hoon maiN insaan hooN dhaDkte huye dil par haath rakh yoon doob kar na dekh samandar nahiN hoon maiN chehre pe mal raha hoon siyaahi naseeb ki aaiynaa haath meiN hai sikandar nahiN hoon maiN 'ghalib' tere zameen meiN likhi to hai ghazal tere kad-e-sukhan ke baraabar nahiN hoon maiN
10. dene vaale mujhe maujo ki ravaani dede fir se ek baar muJhe meri jawaani dede abR ho jaam ho saaki ho mere pehloo meiN koi to shaam muJhe aisi suhaani dede nasha aa jaye muJhe teri jawaani ki kasam tu agar jaam meiN bhar ke muJhe paani dede har jawaN dil mere afsaanoN ko dohraata rahe hashR tak khatM na ho aisi kahaani dede
11. tumko hum dil me basa lenge, tum aao to sahi saari duniya se chupa lenge tum aao to sahi ek waada karo ab humse na bicHDoge kabhi naaz hum saare utha lenge tum aao to sahi bewafa bhee ho sitamgar bee jafa pesha bhee hum khuda tumko bana lenge tum aao to sahi raah taarikh hai aur door hai manzil lekin dard ki shamme jala lenge tum aao to sahi
12. fir usi raah guzar kar shaayad hum kabhi mil sakeN magar shaayad jaan pehchaan se kya hoga fir bhi ae dosth gaur kar shaayad muntjir jinke hum rahe unko mil gaye aur hum-safar shaayad jo bhee bicHDe hain kab mile hain 'faraar' fir bhee tu intezaar kar shaayad