April 10, 2005

Beyond Times


Home | Jagjit Singh Biography | Ghazal Lyrics


1.   apni aankho ke samundar meiN utar jaane de
     tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de

     ay nayey dosth maiN samjhoonga tujhe bhee apna
     pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de 

     aag duniya ki lagayee hui bhuj jayeygee
     koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de

     zakhm kitne teri chaahat se mile haiN mujko
     soNchtaa hoon ki kahoon tujhse magar jaane de 


2.   neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai
     dekh lena abhi kuch der meiN duniya kya hai

     baandh rakha hai kisee sonch ne ghar say humko
     Varna apna dar-o-deewar se rishta kya hai 

     ret ki eenT ki pathar ki hooN ya miTTi ki
     kisi deewar ke saye ka barosa kya hai 

     apni daanist me samjhay koi duniya `Shahid'
     warna hathoN meiN lakiroN ke ilaawa kya hai 


3.   apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai
     patthar beech aaeeena rakhna kitna mushkil hai

     kitna aasaaN hai tasveer banaana auroN kee
     khud ko pase-aaeenaa rakhna kitna mushkil hai

     tumne mandir dekhe honge ye mera aangan hai
     ek diya bhee jalta rakhna kitna mushkil hai

     chullu meiN ho dard ka dariya dhyaan meiN uske hoNTh
     yuN bhee khud ko pyaasa rakhna kitna mushkil hai


4.   Lab-e-khaamosh se izhaar-e-tamanna chaahe
     baat karne ko bhee tasveer ka lehJa chaahe

     tu chale saath to aahaT bhee na aaye apni
     dar meiN aahan bhee na ho yuN tuJhe tanha chaahe

     khwaab meiN roye to ehsaas ho sairaaBi ka
     ret par soYeN magar aankh meiN dariya chaahe
 
     aise tairaaq bhee dekhe haiN 'muzaffar' humne
     gharq hone ke liye bhee jo sahara chaahe


5.   log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyoon haiN
     itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyoon haiN 

     main na jugnu hoon diya hoon na koi tara hoon
     roshni vaalay meray naam say jaltay kyoon haiN

     neend se mera taaluq hi nahin barso sein
     khawab aa aa kay meri chhat pay tehltay kyoon haiN

     mod hotaa hai jawaani ka sambhalne kay liye
     aur sab log yahin aa kay fisaltay kyoon haiN
     

6.   mera dil bhi shauk say todo ek tajurba aur sahee
     lakh khilonay tod chukay ho ek khilona aur sahee 

     raat hai gham ki aaj bhuja do jalta hua har ek chirag
     dil mein andhera ho hi chuka hai ghar mein andhera aur sahee 

     dam hai niklta ik aashiq ka bheed hai aa kar dekh to lo
     lakh tamashay dekhay hongay ek nazaara aur sahee 

     khanjar ley kar saunchtay kya ho qatl `Murad' bhi kar daalo
     daag hain sau daaman pe tumharay ek izaafa aur sahee 


7.   jhoothi sachchi aas pay jeena kab tak aakhir aakhir kab tak
     mai ki jagah khoon-e-dil peena kab tak aakhir aakhir kab tak 

     saucha hai ab paar utraingay ya Takra kar doob marenge
     toofanoN ki zad pay safeena kab tak aakhir aakhir kab tak

     ek maheene ke waade par saal guzaara phir bhi na aaye
     waade ka yeh ek maheena kab tak aakhir aakhir kab tak 

     saamnay duniya bhar ke gham hain aur idhar ik tanha hum hain
     sainkDo pathar ik aaiana kab tak aakhir aakhir kab tak 


8.   saare badan ka khoon paseene meiN jal gaya
     itna chale ke jiSm hamara piGhal gaya

     chalthehi gin rahe the' museebat ke raat din
     dam lene hum jo baith gaye dam nikal gaya
     
     achha hua jo raah meiN Thokar lagee humeN
     hum gir paDe to saara jamaana sambhal gaya

     wehshat meiN koi saath humara na de saka
     daaman ke fiKr kee to garebaaN nikal gaya


9.   saamne hai jo usey log bura kehte haiN
     jisko dekha hee nahi usko khuda kehte haiN

     zindagi ko bhee sila kehte haiN kehne waale
     jeene waale to gunaahoN kee saza kehte haiN
     
     faasile umR ke kuch aur badha deti hai
     jaaney kyoon log use phir bhee dawa kehte haiN 

     chand masoom se pattoN ka lahoo hai `Fakir'
     jisko mehboob ke haathoN ki hina kehte haiN 


10.  ye kareN aur wo kareN aisa kareN waisa kareN
     zindagi do din ki hai do din mein hum kya kya kareN 

     jee meiN aaata hai ki deiN parde se parde ka jawaab
     hum se wo parda kareN duniyaa se hum parda kareN 

     sun raha hoon kuch luTere aa gayey haiN shehar meiN
     aap jaldi bandh apne ghar ka darwazaa kareN 

     is puraani be-wafa duniya ka rona kab talak
     aaiyey mil-jul ke ik duniya nayee paida kareN 


11.  jahan jahan mujhe sehra dikhayee deta hai
     meri tarah se akela dikhayee deta hai 

     yeh ek abR ka tukDa kahan kahan barse
     tamam dasht hi pyaasa dikhayee deta hai 

     yeh kis maqaam pe laayee hai justjoo teri
     jahan se arsh bhi nicha dikhayee deta hai 


12.  shaayad aa jaayega saaqi ko taras ab ke baras
     mil na paya hai un aankhon ka bhi ras ab ke baras

     aisi chaayi thi kahan gham ki ghatayeN pehle
     haan mere deedar tar khoob baras ab ke baras

     oof wo un umad bhari aankhon ke chlakthe huye jaam
     badh gayi aur bhi peene ki hawas ab ke baras

     pehle ye kab tha ki wo mere hain main unka hoon
     unki yaadon ne sataya hai tho bas ab ke baras