April 10, 2005
A Sound Affair
Home |
Jagjit
Singh Biography |
Ghazal
Lyrics
1. ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de ya chhalakti aanKhoN ko bhi patthar kar de tuJhko dekha nahiN mehsoos kiya hai maine aa kisi din mere ehsaas ka paikar kar de aur kuch bhi muJhe darkaar nahiN hai lekin meri chaadar mere pairoN ke baraabar kar de
2. Ye to nahiN ke gam nahiN haaN meri aaNkh nam nahiN tum bhi to tum nahiN ho aaj hum bhi to aaj hum nahiN ab na khushi kee hai khushi gam ka bhi ab to gam nahiN maut agar che-maut hai maut se zeest kam nahiN
3. kabhi guncha kabhi shola kabhi shabnam kee tarah log milte haiN badalte huye mausam kee tarah mere mehboob mere pyaar ko ilzaam na de hiJr meiN eed manaayee hai moharrum ki tarah maine khushboo kee tarah tuJhko kiya hai mehsoos dil ne chheDa hai teri yaad ko shabnam ki tarah kaise ham-dard ho tum kaisee masihaayee hai dil pe nashtar bhi lagaate ho to marham ki tarah
4. socha nahiN achcha bura dekha suna kuch bhi nahiN maanga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahiN dekha tuJhe socha tuJhe chaaha tuJhe pooja tuJhe meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahiN jispar hamari aaNkh ne moti bichchaaye raat bhar bheja wohi kaagaz tuJhe humne likha kuch bhi nahiN ek shaam ki dahleez par baithe rahe wo der taq aankhoN se kee baateN bahot humne kaha kuch bhi nahiN
5. kabhi to khul ke baras ab ke meherbaaN ki taraH mera wazood hai jalte huye makaN kee taraH main ik khwaab sahee aapki amaanat hooN muJhe sambhaaL ke rakhiyegaa jism-o-jaaN ki taraH kabhi to soch ke wo saKsh kis kadar tha buland jo bichh gaya tere kadmoN meiN aasmaaN ki taraH bula rahaa hai muJhe fir kisi badan ka basanth guzar na jaaye ye ruth bhi kahiN khizaaN ki taraH
6. jinko duniyaN kee nigaaHoN se chupaaye rakha jinko ik umR kaleje se lagaaye rakha din jinko, jinHe eemaan banaaye rakha tune duniyaN kee nigaaHoN se jo bachkar likhe salha-saal mere naam baraabar likhe kabhi din meiN to kabhi raat meiN uThkar likhe pyaar meiN dooBe huye khat maiN jalaata kaise tere haathoN ke likhe khat maiN jalaata kaise tere khat aaj maiN ganga meiN baha aaya hooN aag jalte huye paaNi meiN laga aaya hooN.
7. aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai waqt ke saath haalaat badal jaate haiN ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai ek muddat se jahaN kaafile gujre hi nahiN aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai
8. manzil na de charaag na de hauslaa to de tinke ka hi sahee tu magar aasraa to de maiNe ye kab kaha ke mere haq meiN ho jawaab lekin khamosh kyooN hai tu koi faislaa to de barsoN maiN tere naam pe khaata raha fareb mere khuda kahaN hai tu apna pata to de beshaq mere naseeb pe rakh apnaa ikhtiyaar lekin mere naseeb meiN kya hai bata to de